Sunday, November 17, 2002

Sher-o-Shayari written by me

Wah-wa ke hum qabil hi hai, Wah-wa to hamein mil jayenge bhi
Par yeh dard-e-dil ko pahchanenge kaun, Ise marham lagayenge kaun?


Pyar jathaana hamein aatha hi nahin
Dil-e-nadaan yeh samajhtha hi nahin


Patharon se kya bolen yeh dil ki zubaan
Samajhne ko chahiye fariste yahan


gam bhar ke zindagi se hamen lena hi kya
mitti ki duniya se jhagadke hamen paana hai kya
mohabbat ki tulna paison se karna bhi kya
court-kacheri ke darwaaze khad-khadana bhi kya


Ikraar karen ya inkaar Karen
Kabhi kabhi to muskuraaya Karen


Thoo mujhe qabool mai tujhe qabool
Phir kyon huyi hamse aisee bhool


Yeh zindagi ke maksad samajhne ko lage zindagi bhar
Phir yeh zindagi hamein dena hi kyon, tadpaana hi kyon


Chand dinon ke to hai hum mehmaan yahaan
Itne mein aap hai zaldi mein kyon


Yeh laalach ki laathi, yeh nafrath ki salaakhe
Inhi se qaid kiya hai duniya ko saare


Paison se kyon banaye mahlein yahan
Mohabbat se to banta hai khubsoorat jahan


Itna bhi mat le dil pe tu janab-e-ali
Kaun jaane kya kal hai manzoor-e-khudayi


Mohabbat abhi basta hai filmon mein, aisee sheron mein
Logon ke dilon mein jaga hi nahin, zindagi mein fursat hi nahin


Daulat se chaltha hai to chalne do duniya
Hamen to chalna hai apne karmon ke kashti mein
Bhavsaagar ke uspaar


Sheron ke duniya mein mai mirza ghalib nahin
Shares ke duniya mein Harshad Mehta bhi nahin
Paison ke duniya mein mera pahchaan hi kahan
Mohabbat ke bas ek wafadaar hoon sahin


Beje ko lagaaya hai sabse oopar khudah
Kya woh jaanta nahin dil ki hai baath meethi sadaa


Kya qayamat hai wahin jahan hamein dikhta nahin
Mai kahata hoon qayamat hai seene mein chupaaya kahin


Dil se hua hai dil ka milaap
Phir kis baath ki hai aapko aitheraaz


Vatan se hyderabadi hoon, peshe se computer karamchari
dharam se karamvaadi hoon, aur dil ke sachche Hindustani


Mughulon ke dil saa hai yeh urdu zubaan
Taj to kya simat sakta hai is mein saara jahan


Waqt rukti hai kum, guzarti hai zyaada
Mushkilat rukte hai zyaada, guzarte hai kum
Zindagi ka to hai yeh silsila
Karen kya hum iske siwa, filhaal to kahen al-bidah


Khudah-afiz,
Vishnu Pendyala